Thursday, June 17, 2010

Zindagi jeeni hai sahi

Is kadar bhid gaye zindagi ki daud se,
Ke jeene ka matlab bhool gaye,
Kinaare chod diye woh hasi ke,
Aur samundar jitne aasoo bhaaye.

Phool khilne ki khushi ko bhula diye,
Kaanto par hi chalte rahe,
Chod diye shital bhare saaye woh,
Dhoop se jal kar rakh hue.

Bachon ki woh masumiyaat,
Bhulaa kar to aarso beete,
Duniyaadaari ka sabak seekhte seekhte,
Insaan se jaanwar kab ban gaye?

Dil kaunsa aur pathar kaunsa,
Poocho khud ko, Farak hai yaa nahi?
Abhi bhi sawar sakte ho bande,
Zindagi jeeni hai sahi.

-By me (Asking for pardons.....just in some mood for poetics)

5 comments:

Ravan said...

Once again, publishing rights with me...

Anonymous said...

sure sure...
thank you thank you...
for you for sure...

-ravi

misa said...

You are too good with your poetry and your blogs. Very Impressive i must say.

Anonymous said...

@ruta...
thank you thank you...

-ravi

Anonymous said...

Good one...

Durgesh.