Monday, February 15, 2010

Dark times shall pass.

Itna kyun darta hai saaye se,
Saaya to deta hai saath....
Parchaayee ka andhera chaaye to kyaa hua...
Dooji taraf to kirano kaa bhi haath...

Kyun darta hai andhere se...
Andhera to aana hi hai...
Chalta nahi woh pura kaal,
Waqt do, usse jaana hi hai...

Darta kyaa hai kaale badalo se..
Dete woh hume paani...
Sarwaswi dekar apna balidaan,
Dharti khilaate hai saari...

Kyun darta hai Bhavishya se,
Ek din to aata hi hai...
Sukh se ya dukh se jaaye kyaa,
Usse bhi bhoot banaa hi hai..

Darta kyaa hai bhoot se,
Soch ki woh mayajaal,
Bhavishya ki chintaa to kar hi mat,
Apna vartaman sambhaal.

-by me.



4 comments:

Ravan said...

I want all the whole and sole, publishing rights for ur book... whenever u do it...

K.C said...

Shades of Harivanshrai bacchan ?..

@K.c

RK said...

@ravan...
sure and thanks for the compliments....

@mysterio...
well...to say the least....he was a great poet...and if there are even shades of it in that....thats great....thanks...do you have any of his works? Can you lend them to me?

Anonymous said...

aah,... Mutlee havent u heard/read...

Legendary AGNIPATH ??? madhushala.. jo beet gayi so beet gayi...

Its Harivanshrai mah friend !
here it goes...

Vriksh ho bhale khade,
Ho ghane, ho bade,
Ek patra chaa bhi,
Mang maat, mang maat, mang maat
Agnipath, Agnipath, Agnipath

Tu na thakega kabhi,
Tu na thamega kabhi,
Tu na mudega kabhi,
Kar shapath, kar shapath, kar shapath
Agnipath, Agnipath, Agnipath

Yeh maahan drishya hai,
Chal raha manushya hai,
Ashru, shwet, rakth se,
Lathpat, lathpat, lathpat
Agnipath, Agnipath, Agnipath

@ k.C !