Thursday, November 12, 2009

Ye duniya badi hai dhokebaaz

Naa koi gazab hai, naa koi raaz,
Naa koi gazab hai, naa koi raaz,
Ye duniya badi hi,
Badi hai dhokebaaz,

Jis thali mein khaate,
Usi me karte ched,
Jitna mangaaye khaana,
Aadha to karte waste.

Koi apnaa kaam kare,
Toh use kehte mand,
Jo apna bhalaa chahe,
Ussi ko dete dand.

Kitna bhi mile paisa,
Hame lagta kam,
Thoda bhi usme se jaaye,
To karte hai phir gum.

Duniya chalane waale ko
kehte hai hum chor,
Phir bhi vote nahi daalte hai,
Bahana dekar ki sab hai haram khor.

Kis buniyaad par tiki hai ye duniya,
Kisko kuch hai pata?
Maloom karo aur maloom pade,
To hume bhi jara bata.

Naa koi gazab hai, naa koi raaz,
Naa koi gazab hai, naa koi raaz,
Ye duniya badi hi,
Badi hai dhokebaaz,
by
-Me

No comments: